Huzoor Qibla R.A. ki paidaish Sarhind mein hui. Khanqah E
Niazia ki riwayat ke mutabiq paidaish 1155 Hijri. Mein hui. Aapka Naam “Raaz
Ahmed” Urf Niyaz Ahmed rakha gaya .
Maa ki taraf se aap Razvi Sayyad the (yani Imam Ali Raza A.S. ki Nasl mein
the), Magar hamesha apne ko Sayeda Fatima A.S. ka khadim kehte the. Walid E
Mohtaram ki taraf se aap Hazrat Maula Ali A.S. ki aulaad the, Yaani “Alvi” the.
Aapki paidaish se pehle aapki Walida ne Ek Khwab dekha ki wo
Hajj ko ja rahi hain, raaste mein ek jagah par bahut si Auraton ki bheed dekhi
toh wo bhi bheed mein dakhil hui, wahan ek Makaan dekha, jo bahut Saja – Sajaya
tha aur usmein ek qeemti Masahri (Palang/Bed) thi, jis par motiyon ki jhlaar
latki hui thi. Usmein ek bahut paak aur Noorani Shakl ki Bibi tashreef rakhti
thi. Aapne unko Adab se Salaam kiya, toh unhone qareeb bulakar Motiyon ki
jhaalar mein se ek moti todkar aapko diya. Moti lekar wapas hui toh kisi ne
bataya ki yeh Hazrat Khatoon E Jannat Bibi Fatima A.S. hain, Khwab mein hi wo
moti aap apne ghar le aayin. Moti ke andar laal resham ka dora nazar aaya, jo
aapne nikala toh wo dora itna bada ho gaya
ki jisme poora ghar bhar gaya . Yeh dekhkar aapki
aankhein khul gayin. Yeh khwaab aapne apne Peer O Murshid Muhayiuddin Dyasnaami
R.A. se kehelwaya to jawab mein Hazrat khud tashreef le aaye aur Khwab ki
tabeer farmayi ke tumhare pet se Ek Ladka paida hoga, jo bahut bada Wali aur
Bade Buzurgon mein shamil hoga, Apne waqt ka Qutub hoga, Tamaam duniya mein
mashoor hoga.
Aap bachpan hi mein Sirhind se apne Walidayn ke saath Delhi tashreef le aaye.
“Karamat E Nizamiya” ke lekhak ne Delhi
mein aapke aane ka saal 1160 Hijri mutabik 1747 likhi hai
Aapke Khandan ka yeh tareeqa tha ki jab kisi ki Rasm E
Bismillah hoti to jo koi Khandan mein sbase Bada buzurg hota, wo us bachche ke
haath par haath rakh deta tha.
Huzoor Qibla R.A. ki Bismillah hui toh Khadaani tareeke ke
mutabiq aapke Sage Nana Hazrat Saeeduddin Razvi Rehmatulla Aleyh ne aapke haath
par haath rakh diya. Bismillah ke baad aapne Padhna shuru kar diya. Jab aapki
Umr Sirf 04 maheene ki thi, Aapki Walida ne khwab mein Aapko Hazrat Bibi
Khatoon E Jannat A.S. ke qadmon mein daal diya, toh Hazrat Khatoon E Jannat
A.S. ne Muhabbat’an Huzoor Qibla R.A. ke sir par haath rakha aur farmaya “Yeh
toh Hamara Bachcha hai”
Hazrat Shaykhul Mashaykh Shaykh Kaleemullah Jahanabadi R.A.
ke bahut se Khaleefa’on mein se ek Khaleefa toh Shah E Shahan Hazrat Nizamuddin
Aurangabadi R.A. the aur doosre Khaleefa Hazrat Saeeduddin Razvi R.A.
Jab Hazrat Maulana Fakhruddin Fakr E Paak R.A. ne apne Walid
aur Peer O Murshid Hazrat Shah E Shahan se Khilafat hasil kar li, toh aapke
Walid ne farmaya ki “Miyan, tumhara kuch hissa Bhai Saeeduddin Razvi (R.A) ke
paas hai, use Delhi
jakar haasil karo. Isi wajah se Aap Delhi tashreef laaye aur qareeb 2-3 saal
Hazrat Saeeduddin Razvi R.A. ki khidmat mein rehkar apna hissa haasil kiya
Kyunki Hz. Bibi Gharib Nawaz (R.A.) ek tarah se Peer ki
ladki thi, lihaza Delhi mein har jumeraat (Thursday) ko Hazrat Maulana, Bibi
Ghareeb Nawaz ke darwaze par aakar chaukhat choomkar jate the. Ek roz aap aaye,
toh Bibi Ghareeb Nawaz (R.A.) ne kehalwaya ki aap mere ladke Niyaz Ahmed (R.A.)
ko saath le jayein aur usko taleem dein (padhayein). Chunaache aapne Huzoor
Qibla R.A. ko apne paas rakha aur tamaam uloom e zaahir poore karke dasrarbandi
ki rasm ada ki gayi. Iske baad Huzoor Qibla R.A. ne bayt hone ki darkhwast ki.
Hazrat Maulana r.a. ne farmaya ki Bismillah ke waqt tumhare nana Hazrat
Saeeduddin Razvi r.a. ne tumhare haath par haath rakh diya tha, wo mere Peer
hain. Main apne Peer ke haath rakhne ke baad apna haath nahi rakh sakta, toh
Huzoor Qibla r.a. ne arz kiya ki Wo mere bachpan ki baat hai. Hazrat Maulana
ra. Ne farmaya ki jab unhone tumhe qubool kar liya, yehi sanad hai. Huzoor
Qibla r.a. ne arz kiya ki aapse baghair Bayt kiye, main kuch haasil nahi kar
sakta. Agar aap Bayt nahi karte hain, toh main samajh loonga ki meri taqdeer
mein aise faiz pahuchna nahin hai. Jab Hazrat Maulana ra. Ne ye shauk dekha toh
aapne haath par haath nahi rakha balki Daaman pakadkar Bayt (Mureed) kiya. Iske baad roohani taleem
shuru ki. Hazrat Maulana ra. Hazrat Saeeduddin Razvi ra. Ke ta’alluq se Huzoor Qibla ra. Ko “Miyan” kehkar baat karte
the. Apne roohani ilm ke tamam raaz taleem farmaye aur jab mukammal ho gaye to
aapko apni Khilafat ata farmayi aur Apni Masnad aur takiya jo Khajoor ki
chhal ke resho’n se tayyar kiya gaya tha, aapko diya aur
apna Sajjada Nasheen muqarrar kiya. Chunache wo masnad aur takiya aur dastaar,
jis tarah se bandhi gayi thi, usi tarah se ab tak Khanqah E Niyaziya (Bareilly shareef) mein
maujood hai. Urs ke mauke par logon ko ziyarat karayi jati hai. Aur Hazrat
Maulana ra. Ne do rupey bhi diye the. Itna kuch haasil hone ke baad Huzoor
Qibla ra. Ne Hazrat Maulana ra. Ka hukka bharne ki khidmat apne zimme li. Kisi doosre ko nahi bharne dete the. Phir kuch roz ke
baad Hazrat Maulana ra. Ne aapko Ruhelkhand ka Qutub banakar Baan’s Bareilly mein rehne ka
hukum diya.