Khanqah E Aalia Niazia
Khanqahe Alia Niazia, situated at Khwaja Qutub , Bareilly ,UP India , is one of the most important Islamic spiritual centres where the two prominent silsilas , Chishtiya and Qadriya have reached with original successor ships.
Tuesday, May 24, 2016
Sunday, March 6, 2016
Hazrat Shah Niyaz Ahmed ra. (Niyaz Be Niyaz) ke bachpan ke halaat
Huzoor Qibla R.A. ki paidaish Sarhind mein hui. Khanqah E
Niazia ki riwayat ke mutabiq paidaish 1155 Hijri. Mein hui. Aapka Naam “Raaz
Ahmed” Urf Niyaz Ahmed rakha gaya .
Maa ki taraf se aap Razvi Sayyad the (yani Imam Ali Raza A.S. ki Nasl mein
the), Magar hamesha apne ko Sayeda Fatima A.S. ka khadim kehte the. Walid E
Mohtaram ki taraf se aap Hazrat Maula Ali A.S. ki aulaad the, Yaani “Alvi” the.
Aapki paidaish se pehle aapki Walida ne Ek Khwab dekha ki wo
Hajj ko ja rahi hain, raaste mein ek jagah par bahut si Auraton ki bheed dekhi
toh wo bhi bheed mein dakhil hui, wahan ek Makaan dekha, jo bahut Saja – Sajaya
tha aur usmein ek qeemti Masahri (Palang/Bed) thi, jis par motiyon ki jhlaar
latki hui thi. Usmein ek bahut paak aur Noorani Shakl ki Bibi tashreef rakhti
thi. Aapne unko Adab se Salaam kiya, toh unhone qareeb bulakar Motiyon ki
jhaalar mein se ek moti todkar aapko diya. Moti lekar wapas hui toh kisi ne
bataya ki yeh Hazrat Khatoon E Jannat Bibi Fatima A.S. hain, Khwab mein hi wo
moti aap apne ghar le aayin. Moti ke andar laal resham ka dora nazar aaya, jo
aapne nikala toh wo dora itna bada ho gaya
ki jisme poora ghar bhar gaya . Yeh dekhkar aapki
aankhein khul gayin. Yeh khwaab aapne apne Peer O Murshid Muhayiuddin Dyasnaami
R.A. se kehelwaya to jawab mein Hazrat khud tashreef le aaye aur Khwab ki
tabeer farmayi ke tumhare pet se Ek Ladka paida hoga, jo bahut bada Wali aur
Bade Buzurgon mein shamil hoga, Apne waqt ka Qutub hoga, Tamaam duniya mein
mashoor hoga.
Aap bachpan hi mein Sirhind se apne Walidayn ke saath Delhi tashreef le aaye.
“Karamat E Nizamiya” ke lekhak ne Delhi
mein aapke aane ka saal 1160 Hijri mutabik 1747 likhi hai
Aapke Khandan ka yeh tareeqa tha ki jab kisi ki Rasm E
Bismillah hoti to jo koi Khandan mein sbase Bada buzurg hota, wo us bachche ke
haath par haath rakh deta tha.
Huzoor Qibla R.A. ki Bismillah hui toh Khadaani tareeke ke
mutabiq aapke Sage Nana Hazrat Saeeduddin Razvi Rehmatulla Aleyh ne aapke haath
par haath rakh diya. Bismillah ke baad aapne Padhna shuru kar diya. Jab aapki
Umr Sirf 04 maheene ki thi, Aapki Walida ne khwab mein Aapko Hazrat Bibi
Khatoon E Jannat A.S. ke qadmon mein daal diya, toh Hazrat Khatoon E Jannat
A.S. ne Muhabbat’an Huzoor Qibla R.A. ke sir par haath rakha aur farmaya “Yeh
toh Hamara Bachcha hai”
Hazrat Shaykhul Mashaykh Shaykh Kaleemullah Jahanabadi R.A.
ke bahut se Khaleefa’on mein se ek Khaleefa toh Shah E Shahan Hazrat Nizamuddin
Aurangabadi R.A. the aur doosre Khaleefa Hazrat Saeeduddin Razvi R.A.
Jab Hazrat Maulana Fakhruddin Fakr E Paak R.A. ne apne Walid
aur Peer O Murshid Hazrat Shah E Shahan se Khilafat hasil kar li, toh aapke
Walid ne farmaya ki “Miyan, tumhara kuch hissa Bhai Saeeduddin Razvi (R.A) ke
paas hai, use Delhi
jakar haasil karo. Isi wajah se Aap Delhi tashreef laaye aur qareeb 2-3 saal
Hazrat Saeeduddin Razvi R.A. ki khidmat mein rehkar apna hissa haasil kiya
Kyunki Hz. Bibi Gharib Nawaz (R.A.) ek tarah se Peer ki
ladki thi, lihaza Delhi mein har jumeraat (Thursday) ko Hazrat Maulana, Bibi
Ghareeb Nawaz ke darwaze par aakar chaukhat choomkar jate the. Ek roz aap aaye,
toh Bibi Ghareeb Nawaz (R.A.) ne kehalwaya ki aap mere ladke Niyaz Ahmed (R.A.)
ko saath le jayein aur usko taleem dein (padhayein). Chunaache aapne Huzoor
Qibla R.A. ko apne paas rakha aur tamaam uloom e zaahir poore karke dasrarbandi
ki rasm ada ki gayi. Iske baad Huzoor Qibla R.A. ne bayt hone ki darkhwast ki.
Hazrat Maulana r.a. ne farmaya ki Bismillah ke waqt tumhare nana Hazrat
Saeeduddin Razvi r.a. ne tumhare haath par haath rakh diya tha, wo mere Peer
hain. Main apne Peer ke haath rakhne ke baad apna haath nahi rakh sakta, toh
Huzoor Qibla r.a. ne arz kiya ki Wo mere bachpan ki baat hai. Hazrat Maulana
ra. Ne farmaya ki jab unhone tumhe qubool kar liya, yehi sanad hai. Huzoor
Qibla r.a. ne arz kiya ki aapse baghair Bayt kiye, main kuch haasil nahi kar
sakta. Agar aap Bayt nahi karte hain, toh main samajh loonga ki meri taqdeer
mein aise faiz pahuchna nahin hai. Jab Hazrat Maulana ra. Ne ye shauk dekha toh
aapne haath par haath nahi rakha balki Daaman pakadkar Bayt (Mureed) kiya. Iske baad roohani taleem
shuru ki. Hazrat Maulana ra. Hazrat Saeeduddin Razvi ra. Ke ta’alluq se Huzoor Qibla ra. Ko “Miyan” kehkar baat karte
the. Apne roohani ilm ke tamam raaz taleem farmaye aur jab mukammal ho gaye to
aapko apni Khilafat ata farmayi aur Apni Masnad aur takiya jo Khajoor ki
chhal ke resho’n se tayyar kiya gaya tha, aapko diya aur
apna Sajjada Nasheen muqarrar kiya. Chunache wo masnad aur takiya aur dastaar,
jis tarah se bandhi gayi thi, usi tarah se ab tak Khanqah E Niyaziya (Bareilly shareef) mein
maujood hai. Urs ke mauke par logon ko ziyarat karayi jati hai. Aur Hazrat
Maulana ra. Ne do rupey bhi diye the. Itna kuch haasil hone ke baad Huzoor
Qibla ra. Ne Hazrat Maulana ra. Ka hukka bharne ki khidmat apne zimme li. Kisi doosre ko nahi bharne dete the. Phir kuch roz ke
baad Hazrat Maulana ra. Ne aapko Ruhelkhand ka Qutub banakar Baan’s Bareilly mein rehne ka
hukum diya.
Tuesday, February 23, 2016
Waqiya about Hazrat Shah Niyaz Ahmed R.A. by Hazrat Maulana Fakhruddin Dehalvi, Hazrat Mirza Agha Janejana
Shaan e Hazrat Niyaz Be Niyaz Shah Niyaz Ahmad Qadri, Chishti, Naqshbandi, Soharwardi, Nizami, Sabri, Fakhri r.a.
FAKHRE JAHA'N HAZRAT MAULANA FAKHRE PAAK R.A. aur HAZRAT MIRZA JANEJANA R.A. ek hi zamane me the,
MIRZA sahab Silsila E Naqshbandiya ke bahut bade buzurg the unke samne logon ne Huzoor Qibla Hazrat NIYAZ BE NIYAZ SHAH NIYAZ AHMED R.A ke ilm aur roohaniyat ki bahut tareef ki aur kaha 'Log unki nazar e tez ko bardasht nahi kar sakte hain'
Jis par MIRZA SAHAB ne jawab diya 'Barsat me aise podhe bahut ho jaate hain darakht to Ek do hi bante hain'
MIRZA SAHAB ne is baat ka zikr HAZRAT MAULANA FAKHR E JAHAN SAHAB se bhi kar diya,
Jispar Hazrat Maulana Fakhr E Jahan ne Farmaya " YEH PAUDHA WOH NAHIN JO JAATA RAHE"
aur hukum diya ki miyan (HAZRAT SHAH NIYAZ AHMED R.A.) ke shijre mein Qur'an sharif ki ye aayat shamil kardo,
'ASLUHA SABITUN WA FARU'UHA FIS SAMA'I'
Tarjuma: Jaise pakiza darakht jiski jad majboot hai aur shakhen aasman me bhi hain
Ref. Book- QUTBE ALAM (Musannif - Hazrat Syed Mehboob ur Rehman Niazi Sahab)
Arifana Kalaam's - Qawwali
The Complete list to some of the best Arifana Kalaam's
you can listen to the kalaam by clicking the link below:
Mere Qalb o Jaan ka Sukoon hai Teri Zaat E Aali Maqaam se - Arifana Kalaam
Mere Qalb o Jaan ka Sukoon hai Teri Zaat E Aali Maqaam se - Arifana Kalaam
Aap ko paata nahin jab Aap ko pata hoon main - Fareed Ayaz & Abu Muhammad
Sakhi Ree Maine pee hai anokha paaya - Tahir Ali Mahir Ali Shakir Ali Nizami Qawwal
Mujhko Kaafi hai yeh sang e Dar e Janana mera - Kalam Hazrat Shah Muhammad Taqi 'Aziz Miyan Qibla' "RAAZ BARELVI"
Yaar ko humne Ja Ba Ja Dekha - Amjad Sabri Qawwal - Kalam Hazrat Shah Niyaz Ahmed R.A.
Yaar ke Pa E Naaz Par Jiska Sar E Niyaz Ho - Kalam E Bechain - Sher Ali Mehr Ali Qawwal Live
Humko yaan Dar dar phiraya Yaar Ne - Tahir Ali Mahir Ali Qawwal - Kalam Hazrat Shah Niaz
Chashme Saaqi ne yeh kya Khel racha rakha hai - Sher Ali Mehr Ali Qawwal
Jo Jalwagah E Yaar hai wo dil yehi toh hai
Mujhe yeh batado kahan tum nahi ho - Kalam Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan Qibla "Raaz Barelvi"
More Coming Soon In Sha Allah :)
Wednesday, February 10, 2016
SPIRITUAL SUCCESSOR / JANASHEEN OF HAZRAT MAULANA FAKHR E JAHAN R.A.
HAZRAT SHAH NIYAZ AHMED R.A. IS THE SPIRITUAL SUCCESSOR OR THE JANASHEEN OF HAZRAT MUHIB UN NABI MAULANA MUHAMMAD FAKHR UD DEEN FAKHR E JAHAN DEHALVI R.A.
HE WROTE THE FOLLOWING KALAM IN PRAISE OF HIS PEER O MURSHID
LISTEN TO THE FULL KALAM
ISHQ MEIN TERE KOH E GHAM - HAZRAT SHAH NIYAZ AHMED R.A.
KALAAM HAZRAT SHAH NIYAZ AHMED R.A. (SHAH NIAZ BARELVI)
Ishq mein tere kohe gham, sar pe liya jo ho so ho
Aish'o nishaat'e zindagi, chhod diya jo ho so ho
Mujh se mareez ko tabiib,haath too apna mat lagaa
Isko khuda pe chod de,bahr'e khuda jo ho so ho
Aql ke madrase se uth, ishq ke maikade mein aa
Jaam'e fanaa'o bekhudi, ab to piya jo ho so ho
Hijr ki jo museebatein arz kiin uske rubaru
Naaz'o adaa se muskura kehne lagaa jo ho so ho
Hasti ke is saraab mein raat ki raat bas rahe
Subh'e adam huaa numoo, paaon uthaa jo ho so ho
Duniya ke nek'o bad se kaam, humko "NIYAZ" kuch nahin
Aap se jo guzar gaya, phir use kya jo ho so ho
Kalam Hazrat Shah Niyaz Ahmed R.A.
PHOTOS OF KHANQAH E AALIA NIAZIA (BAREILLY U.P.)
KHANQAH E AALIA NIAZIA PICS
Ghusl Shareef
Like us on facebook for more pics and updates
During Muharram Shareef
During Urs Mubarak of Hazrat Shah Niyaz Ahmed R.A.
Subscribe to:
Posts (Atom)