KALAAM HAZRAT SHAH NIYAZ AHMED R.A. (SHAH NIAZ BARELVI)
Ishq mein tere kohe gham, sar pe liya jo ho so ho
Aish'o nishaat'e zindagi, chhod diya jo ho so ho
Mujh se mareez ko tabiib,haath too apna mat lagaa
Isko khuda pe chod de,bahr'e khuda jo ho so ho
Aql ke madrase se uth, ishq ke maikade mein aa
Jaam'e fanaa'o bekhudi, ab to piya jo ho so ho
Hijr ki jo museebatein arz kiin uske rubaru
Naaz'o adaa se muskura kehne lagaa jo ho so ho
Hasti ke is saraab mein raat ki raat bas rahe
Subh'e adam huaa numoo, paaon uthaa jo ho so ho
Duniya ke nek'o bad se kaam, humko "NIYAZ" kuch nahin
Aap se jo guzar gaya, phir use kya jo ho so ho
Kalam Hazrat Shah Niyaz Ahmed R.A.
No comments:
Post a Comment